KHush bahut tha ek lamha shadmani dekh kar
ḳhush bahut thā ek lamha shādmānī dekh kar
ġham huā mujh ko yuuñ ġham kī tarjumānī dekh kar
jo guzartī jā rahī hai naam us kā umr hai
zindagī hairān hai is kī ravānī dekh kar
haa.e is sayyād ne dīvār rañvā dī ajiib
uḌ rahe haiñ saare panchhī āsmānī dekh kar
jugnuoñ ne aaj dāvat par bulāyā chāñd ko
chāñd shab bhar TimTimāyā mezbānī dekh kar
āñkheñ merī thiiñ labālab gard kā pahra thā yaañ
vo ye samjhā dhokā hai sahrā meñ paanī dekh kar
kyā maza gar ishq meñ thoḌī bahut duurī na ho
us ne ḳhud se ye kahā merī nishānī dekh kar
ek to dil shā.irāna aur phir majrūh bhī
chain mujh ko aa.egā bas bāġhbānī dekh kar
muTThiyoñ meñ ḳhaak le kar aa ga.e haiñ sab ke sab
kar do mujh ko dafn merī be-makānī dekh kar
vo mohabbat ke ma.ānī bas batātā hī rahā
ishq phir jaatā rahā dasht-e-ma.ānī dekh kar
raaz thoḌe aao kholeñ us ḳhudā ke muntazir
is zamīñ par āsmāñ kī hukmarānī dekh kar
KHush bahut tha ek lamha shadmani dekh kar
gham hua mujh ko yun gham ki tarjumani dekh kar
jo guzarti ja rahi hai nam us ka umr hai
zindagi hairan hai is ki rawani dekh kar
hae is sayyaad ne diwar ranwa di ajib
uD rahe hain sare panchhi aasmani dekh kar
jugnuon ne aaj dawat par bulaya chand ko
chand shab bhar TimTimaya mezbani dekh kar
aankhen meri thin labaalab gard ka pahra tha yan
wo ye samjha dhoka hai sahra mein pani dekh kar
kya maza gar ishq mein thoDi bahut duri na ho
us ne KHud se ye kaha meri nishani dekh kar
ek to dil shairana aur phir majruh bhi
chain mujh ko aaega bas baghbani dekh kar
muTThiyon mein KHak le kar aa gae hain sab ke sab
kar do mujh ko dafn meri be-makani dekh kar
wo mohabbat ke maani bas batata hi raha
ishq phir jata raha dasht-e-maani dekh kar
raaz thoDe aao kholen us KHuda ke muntazir
is zamin par aasman ki hukmarani dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.