KHush-baKHt hain aazad hain jo apne suKHan mein
ḳhush-baḳht haiñ āzād haiñ jo apne suḳhan meñ
ḳhush-baḳht haiñ jo qaid hai nekī ke chalan meñ
is aañkh ne kyā hotā huā dekh liyā hai
bhauñchāl sā barpā hai ajab mere badan meñ
jo kaam karo jab bhī karo Duub ke us meñ
har ek tahayyur hai junūñ-zād lagan meñ
ġhammāz to kuchh hotā hai ādāt kā chehra
sūraj kā tasavvur bhī to hotā hai kiran meñ
KHush-baKHt hain aazad hain jo apne suKHan mein
KHush-baKHt hain jo qaid hai neki ke chalan mein
is aankh ne kya hota hua dekh liya hai
bhaunchaal sa barpa hai ajab mere badan mein
jo kaam karo jab bhi karo Dub ke us mein
har ek tahayyur hai junun-zad lagan mein
ghammaz to kuchh hota hai aadat ka chehra
suraj ka tasawwur bhi to hota hai kiran mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.