KHush bayaban mein magar shahr mein Darna us ka
ḳhush bayābāñ meñ magar shahr meñ Darnā us kā
kaasa hāthoñ meñ liye ghar meñ bhī phirnā us kā
dil dukhā ke kabhī hañsnā kabhī ronā us kā
mere āñgan meñ likhā thā nahīñ basnā us kā
us ne tanhā.ī meñ bhī anjuman-ārā.ī kī
chāñd ne dekh liyā āñkhoñ ko bharnā us kā
maiñ ne dekhā hai sar-e-shām udāsī kā ḳhirām
paañv meñ chhāle pahan ke na Thaharnā us kā
aa.ina dekhnā manzūr nahīñ thā us ko
lutf detā thā havā ban ke guzarnā us kā
har ḳhalish aan ke ruktī thī mirī bāñhoñ meñ
zindagī dekhtī rahtī thī taḌapnā us kā
hai ajab tarz-e-mulāqāt ajab tarz-e-safar
paas aa ke na Thaharnā na guzarnā us kā
KHush bayaban mein magar shahr mein Darna us ka
kasa hathon mein liye ghar mein bhi phirna us ka
dil dukha ke kabhi hansna kabhi rona us ka
mere aangan mein likha tha nahin basna us ka
us ne tanhai mein bhi anjuman-arai ki
chand ne dekh liya aankhon ko bharna us ka
main ne dekha hai sar-e-sham udasi ka KHiram
panw mein chhaale pahan ke na Thaharna us ka
aaina dekhna manzur nahin tha us ko
lutf deta tha hawa ban ke guzarna us ka
har KHalish aan ke rukti thi meri banhon mein
zindagi dekhti rahti thi taDapna us ka
hai ajab tarz-e-mulaqat ajab tarz-e-safar
pas aa ke na Thaharna na guzarna us ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.