KHush-bayan KHush-rang KHush-KHu KHush-nazar KHush-did hai
ḳhush-bayāñ ḳhush-rang ḳhush-ḳhū ḳhush-nazar ḳhush-dīd hai
ḳhūbiyoñ kā aa.ina vo markaz-e-ummīd hai
gul-badan gul-rū gul-afshāñ gul-badāmāñ gul-mahak
lāla-o-gul se ayaañ us husn kī tā.īd hai
ham-zabāñ ham-shaġhl ham-āhang ham-sin ham-nashīñ
be-takalluf us kī hastī be-ġham-e-tanqīd hai
dil-talab dil-āshnā dil-kesh dil-jū dil-navāz
dil kī holī dil kī dīvālī hai dil kī eid hai
zinda jaadū zinda fan zinda ġhazal zinda misāl
masdar-e-mahtāb hai sar-chashma-e-ḳhurshīd hai
vo haqīqat vo sadāqat vo mohabbat vo vafā
us kā har afsāna afsāne kī ik tamhīd hai
KHush-bayan KHush-rang KHush-KHu KHush-nazar KHush-did hai
KHubiyon ka aaina wo markaz-e-ummid hai
gul-badan gul-ru gul-afshan gul-badaman gul-mahak
lala-o-gul se ayan us husn ki taid hai
ham-zaban ham-shaghl ham-ahang ham-sin ham-nashin
be-takalluf us ki hasti be-gham-e-tanqid hai
dil-talab dil-ashna dil-kesh dil-ju dil-nawaz
dil ki holi dil ki diwali hai dil ki eid hai
zinda jadu zinda fan zinda ghazal zinda misal
masdar-e-mahtab hai sar-chashma-e-KHurshid hai
wo haqiqat wo sadaqat wo mohabbat wo wafa
us ka har afsana afsane ki ek tamhid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.