KHush hai wo ya ki gham-zada bhi hai
ḳhush hai vo yā ki ġham-zada bhī hai
ye usī shaḳhs ko patā bhī hai
jis ko qismat se jo mayassar ho
zindagī zahr bhī davā bhī hai
dil ko dil hī na jāniye sāhab
dekhiye to ye aa.ina bhī hai
tum ne patthar ko fan diyā hī nahīñ
varna patthar to devtā bhī hai
dil hai vo ḳhush-nasīb kā shāna
jis meñ banda bhī hai ḳhudā bhī hai
har fasāne kī har kahānī kī
ibtidā hai to intihā bhī hai
baat hai bas nazar nazar kī 'nasīm'
vo burā hai vahī bhalā bhī hai
KHush hai wo ya ki gham-zada bhi hai
ye usi shaKHs ko pata bhi hai
jis ko qismat se jo mayassar ho
zindagi zahr bhi dawa bhi hai
dil ko dil hi na jaaniye sahab
dekhiye to ye aaina bhi hai
tum ne patthar ko fan diya hi nahin
warna patthar to dewta bhi hai
dil hai wo KHush-nasib ka shana
jis mein banda bhi hai KHuda bhi hai
har fasane ki har kahani ki
ibtida hai to intiha bhi hai
baat hai bas nazar nazar ki 'nasim'
wo bura hai wahi bhala bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.