KHush hain inam mila ho jaise
ḳhush haiñ in.aam milā ho jaise
dard bhī koī davā ho jaise
aise jiite haiñ sazā ho jaise
jurm sangīn kiyā ho jaise
talḳhī-e-zabt-e-fuġhāñ kyā kahiye
zahr kā ghūñT piyā ho jaise
apnī tahzīb se duurī ai dost
jism se ruuh judā ho jaise
yuuñ guzar jaatā hai kuchh ahd-e-shabāb
mauja-e-bād-e-sabā ho jaise
ishq kyā husn bhī hai nauha-kunāñ
mātam-e-marg-e-vafā ho jaise
sāThvīñ sālgirah kī tasvīr
koī manzil pe luTā ho jaise
zahr-e-ġham piite raho yuuñ 'nazmī'
zahr-e-ġham āb-e-baqā ho jaise
KHush hain inam mila ho jaise
dard bhi koi dawa ho jaise
aise jite hain saza ho jaise
jurm sangin kiya ho jaise
talKHi-e-zabt-e-fughan kya kahiye
zahr ka ghunT piya ho jaise
apni tahzib se duri ai dost
jism se ruh juda ho jaise
yun guzar jata hai kuchh ahd-e-shabab
mauja-e-baad-e-saba ho jaise
ishq kya husn bhi hai nauha-kunan
matam-e-marg-e-wafa ho jaise
saThwin salgirah ki taswir
koi manzil pe luTa ho jaise
zahr-e-gham pite raho yun 'nazmi'
zahr-e-gham aab-e-baqa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.