KHush ho koi duniya mein ye aasan nahin hai
ḳhush ho koī duniyā meñ ye āsān nahīñ hai
insāñ kabhī insāñ bane imkān nahīñ hai
āñkhoñ se mirī kahtā hai ā.īna ye har baar
ye jism mirī ruuh kī pahchān nahīñ hai
ab ḳhūn-e-jigar bhī to bahā thoḌā sā majnūñ
pahchān faqat chāk-e-garebān nahīñ hai
shikva to nahīñ kartā sanam koī sitam kā
ye baat alag dil mirā nādān nahīñ hai
KHush ho koi duniya mein ye aasan nahin hai
insan kabhi insan bane imkan nahin hai
aankhon se meri kahta hai aaina ye har bar
ye jism meri ruh ki pahchan nahin hai
ab KHun-e-jigar bhi to baha thoDa sa majnun
pahchan faqat chaak-e-gareban nahin hai
shikwa to nahin karta sanam koi sitam ka
ye baat alag dil mera nadan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.