KHush-jamal aate aate aata hai
ḳhush-jamāl aate aate aatā hai
be-misāl aate aate aatā hai
chāñd ḳhud vasl kī kare ḳhvāhish
ye kamāl aate aate aatā hai
roz dīdār-e-yār ho jis meñ
aisā saal aate aate aatā hai
jo parī-vash hoñ un ke hoñToñ pe
dil kā haal aate aate aatā hai
dil kī āvārgī pe bhī 'āmir'
e'tidāl aate aate aatā hai
KHush-jamal aate aate aata hai
be-misal aate aate aata hai
chand KHud wasl ki kare KHwahish
ye kamal aate aate aata hai
roz didar-e-yar ho jis mein
aisa sal aate aate aata hai
jo pari-wash hon un ke honTon pe
dil ka haal aate aate aata hai
dil ki aawargi pe bhi 'amir'
e'tidal aate aate aata hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 596)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.