KHush kare ek pal tumhein ek pal rulae zindagi
ḳhush kare ik pal tumheñ ik pal rulā.e zindagī
lamha lamha aadmī ko āzmā.e zindagī
vaqt ke jis moḌ par jiine kī dil meñ chaah ho
bas usī hī moḌ par dāman chhuḌā.e zindagī
koī chāhe daulat-o-shohrat to koī chāhe pyaar
kaise kaise logoñ ko sapne dikhā.e zindagī
bachpanā umr-e-javānī ābrū-e-roz-o-shab
maiñ ne har shai tujh ko de dī māsivā-e-zindagī
daulat-o-shohrat ġhurūr-o-faḳhr aur jāh-o-hasham
ek din miT jaanī hai har ik anā-e-zindagī
baḌbaḌātā jā rahā hai rāste meñ ik faqīr
chand roTī ke liye dar dar phirā.e zindagī
chār-sū hai zulm shar aur maut kī tuġhyāniyāñ
koī batlā.e bhalā kis samt jaa.e zindagī
baad tere zindagī se ab kahāñ raġhbat mujhe
mere hamdam mat de mujh ko ab duā-e-zindagī
zindagī aise jiyo duniyā meñ ki marne ke baad
maut ro.e tum pe aur aañsū bahā.e zindagī
maut se ġhāfil haiñ jo vo yaad ye rakkheñ sadā
ek din chhin jā.egī tum se ridā-e-zindagī
dard tanhā.ī firāq-o-ranj-o-ġham hijr-o-alam
kis qadar ginvā.ūñ maiñ tum ko jafā-e-zindagī
kab bahār aa.egī gulshan meñ khileñge phuul kab
ai ḳhudāyā kab bharegī ye ḳhalā-e-zindagī
ilm-o-fikr-o-āgahī lahn-o-shu.ūr-o-shā.erī
ḳhuub maiñ ne paa.ī hai rab se jazā-e-zindagī
KHush kare ek pal tumhein ek pal rulae zindagi
lamha lamha aadmi ko aazmae zindagi
waqt ke jis moD par jine ki dil mein chah ho
bas usi hi moD par daman chhuDae zindagi
koi chahe daulat-o-shohrat to koi chahe pyar
kaise kaise logon ko sapne dikhae zindagi
bachpana umr-e-jawani aabru-e-roz-o-shab
main ne har shai tujh ko de di masiwa-e-zindagi
daulat-o-shohrat ghurur-o-faKHr aur jah-o-hasham
ek din miT jaani hai har ek ana-e-zindagi
baDbaData ja raha hai raste mein ek faqir
chand roTi ke liye dar dar phirae zindagi
chaar-su hai zulm shar aur maut ki tughyaniyan
koi batlae bhala kis samt jae zindagi
baad tere zindagi se ab kahan raghbat mujhe
mere hamdam mat de mujh ko ab dua-e-zindagi
zindagi aise jiyo duniya mein ki marne ke baad
maut roe tum pe aur aansu bahae zindagi
maut se ghafil hain jo wo yaad ye rakkhen sada
ek din chhin jaegi tum se rida-e-zindagi
dard tanhai firaq-o-ranj-o-gham hijr-o-alam
kis qadar ginwaun main tum ko jafa-e-zindagi
kab bahaar aaegi gulshan mein khilenge phul kab
ai KHudaya kab bharegi ye KHala-e-zindagi
ilm-o-fikr-o-agahi lahn-o-shuur-o-shaeri
KHub main ne pai hai rab se jaza-e-zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.