KHush-KHirami ko teri ek chaman-zar to ho
ḳhush-ḳhirāmī ko tirī ek chaman-zār to ho
gul se bulbul ko jahāñ bāhamī takrār to ho
rang ke saath lahū bharne ko tayyār to ho
terī tasvīr bane kaise ki fankār to ho
jang aur ishq meñ har baat hai jaa.ez lekin
jiit us kī hai jo āmāda-e-paikār to ho
vo mohabbat hai mujhe bā.is-e-izzat jis meñ
kabhī inkār ho lekin kabhī iqrār to ho
āsmāñ vaqt ke ruḳhsār pe ho ashk fashāñ
taaj ke jaisā koī dūsrā shahkār to ho
chāñd aadhā hai magar raat se ye kahtā hai
raushnī ke liye mujh sā koī tayyār to ho
us kī tashrīh sadā hogī bahar-taur magar
harf ke paañv kī zanjīr meñ jhankār to ho
apne ash.ār sunā.ūñgā use maiñ lekin
shart itnī hai ki 'ġhālib' kā taraf-dār to ho
ham ki mahtāb se bhī aañkh churā leñge 'zafar'
lekin ik baar tirā vāda-e-dīdār to ho
KHush-KHirami ko teri ek chaman-zar to ho
gul se bulbul ko jahan bahami takrar to ho
rang ke sath lahu bharne ko tayyar to ho
teri taswir bane kaise ki fankar to ho
jang aur ishq mein har baat hai jaez lekin
jit us ki hai jo aamada-e-paikar to ho
wo mohabbat hai mujhe bais-e-izzat jis mein
kabhi inkar ho lekin kabhi iqrar to ho
aasman waqt ke ruKHsar pe ho ashk fashan
taj ke jaisa koi dusra shahkar to ho
chand aadha hai magar raat se ye kahta hai
raushni ke liye mujh sa koi tayyar to ho
us ki tashrih sada hogi bahar-taur magar
harf ke panw ki zanjir mein jhankar to ho
apne ashaar sunaunga use main lekin
shart itni hai ki 'ghaalib' ka taraf-dar to ho
hum ki mahtab se bhi aankh chura lenge 'zafar'
lekin ek bar tera wada-e-didar to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.