KHush-kun KHabar ke dhoke mein rakkha gaya mujhe
ḳhush-kun ḳhabar ke dhoke meñ rakkhā gayā mujhe
shab bhar sahar ke dhoke meñ rakhā gayā mujhe
uḌne kā iḳhtiyār kahāñ mere paas thā
bas bāl-o-par ke dhoke meñ rakkhā gayā mujhe
ghar aur ghar ke ḳhvāb se hijrat ke ba.ad bhī
kyuuñ bām-o-dar ke dhoke meñ rakkhā gayā mujhe
KHush-kun KHabar ke dhoke mein rakkha gaya mujhe
shab bhar sahar ke dhoke mein rakha gaya mujhe
uDne ka iKHtiyar kahan mere pas tha
bas baal-o-par ke dhoke mein rakkha gaya mujhe
ghar aur ghar ke KHwab se hijrat ke baad bhi
kyun baam-o-dar ke dhoke mein rakkha gaya mujhe
- Book : Paniyon Se Alag (Pg. 22)
- Author : Shamsheer Haider
- Publication : Rumail House of Publication (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.