KHush-kun nazar fareb sa manzar bhi aaega
ḳhush-kun nazar fareb sā manzar bhī aa.egā
chal aur thoḌī duur tirā ghar bhī aa.egā
hogā ye hādisa bhī kabhī mere shahr meñ
ā.īna-gar ke haath meñ patthar bhī aa.egā
kyoñ ishti.āl rakhtā hai lamhoñ kī kokh meñ
patthar ke phir javāb meñ ḳhanjar bhī aa.egā
paanī meñ kaun kitne hai sab kī mujhe ḳhabar
majbūr gar karoge to lab par bhī aa.egā
boyā hai nuur maiñ ne añdheroñ meñ raat ke
niklā vo chāñd ban ke mire ghar bhī aa.egā
tāroñ ne baar baar mujhe diiñ tasalliyāñ
vo chāñd hai to raat ko chhat par bhī aa.egā
vo aarzū vo shauq vo chāhat nahīñ rahī
ilzām ek din ye mire sar bhī aa.egā
jā to rahā hai ret meñ kushtī ko chhoḌ ke
sahrā ko paar karke samundar bhī aa.egā
yād-e-ḳhizāñ meñ zikr kiye jā bahār kā
lutf-e-bahār kuchh mujhe sun kar bhī aa.egā
'mohsin' meñ tīrgī meñ use kyoñ pukārtā
sūraj hai vo to raushnī le kar bhī aa.egā
KHush-kun nazar fareb sa manzar bhi aaega
chal aur thoDi dur tera ghar bhi aaega
hoga ye hadisa bhi kabhi mere shahr mein
aaina-gar ke hath mein patthar bhi aaega
kyon ishtial rakhta hai lamhon ki kokh mein
patthar ke phir jawab mein KHanjar bhi aaega
pani mein kaun kitne hai sab ki mujhe KHabar
majbur gar karoge to lab par bhi aaega
boya hai nur main ne andheron mein raat ke
nikla wo chand ban ke mere ghar bhi aaega
taron ne bar bar mujhe din tasalliyan
wo chand hai to raat ko chhat par bhi aaega
wo aarzu wo shauq wo chahat nahin rahi
ilzam ek din ye mere sar bhi aaega
ja to raha hai ret mein kushti ko chhoD ke
sahra ko par karke samundar bhi aaega
yaad-e-KHizan mein zikr kiye ja bahaar ka
lutf-e-bahaar kuchh mujhe sun kar bhi aaega
'mohsin' mein tirgi mein use kyon pukarta
suraj hai wo to raushni le kar bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.