KHush nahin dard se jo ishq ka dawa na kare
ḳhush nahīñ dard se jo ishq kā da.avā na kare
hosh khone hoñ to jalvoñ kā taqāzā na kare
ātish-e-shauq nahīñ ātish-e-namrūd se kam
aag kā Dar ho to but-ḳhāne pe dhāvā na kare
ek āvāz se khul jaatā hai sab Dhol kā pol
daulat-e-ishq mayassar ho to ġhauġhā na kare
rind vo mo.atakif-e-ka.aba-e-hastī hai ki jo
zā.er-e-dair na ho azm-e-kalīsā na kare
husn vo husn hai jo ishq kī ramzeñ samjhe
ishq vo ishq hai jo husn ko rusvā na kare
ġham jise kahte haiñ vo ḳhūn-e-tamannā hī to hai
is se bachnā ho kisī ko to tamanna na kare
ham to kahte hī raheñge dil-e-murda se 'amīñ'
ḳhud agar jī na sake minnat-e-īsā na kare
KHush nahin dard se jo ishq ka dawa na kare
hosh khone hon to jalwon ka taqaza na kare
aatish-e-shauq nahin aatish-e-namrud se kam
aag ka Dar ho to but-KHane pe dhawa na kare
ek aawaz se khul jata hai sab Dhol ka pol
daulat-e-ishq mayassar ho to ghaugha na kare
rind wo moatakif-e-kaba-e-hasti hai ki jo
zaer-e-dair na ho azm-e-kalisa na kare
husn wo husn hai jo ishq ki ramzen samjhe
ishq wo ishq hai jo husn ko ruswa na kare
gham jise kahte hain wo KHun-e-tamanna hi to hai
is se bachna ho kisi ko to tamanna na kare
hum to kahte hi rahenge dil-e-murda se 'amin'
KHud agar ji na sake minnat-e-isa na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.