Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHush-numa peDon ke bichon-bich ghar jata hua

Zahoor Minhas

KHush-numa peDon ke bichon-bich ghar jata hua

Zahoor Minhas

MORE BYZahoor Minhas

    ḳhush-numā peḌoñ ke bīchoñ-bīch ghar jaatā huā

    ek rasta saañp sūrat meñ bal khātā huā

    ek laḌkī rang-o-bū ke vasf ginvātī huī

    ek laḌkā āgahī ramz samjhātā huā

    sab kisāñ paanī ko le kar laḌ rahe haiñ aur ḳhudā

    sab kisānoñ zamīñ par abr barsātā huā

    ek machhlī jhiil ke paanī pe lahrātī huī

    ik machherā mistirī se jaal bunvātā huā

    ik musāfir par safar meñ mushkileñ aatī huiiñ

    ek paudā sahn ke goshe meñ murjhātā huā

    nā-balad huuñ az-taġhazzul-dar-ġhazal-bā-īñ-hama

    'mīr' ke aage nahīñ lagtā maiñ haklātā huā

    KHush-numa peDon ke bichon-bich ghar jata hua

    ek rasta sanp ki surat mein bal khata hua

    ek laDki rang-o-bu ke wasf ginwati hui

    ek laDka aagahi ki ramz samjhata hua

    sab kisan pani ko le kar laD rahe hain aur KHuda

    sab kisanon ki zamin par abr barsata hua

    ek machhli jhil ke pani pe lahraati hui

    ek machhera mistiri se jal bunwata hua

    ek musafir par safar mein mushkilen aati huin

    ek pauda sahn ke goshe mein murjhata hua

    na-balad hun az-taghazzul-dar-ghazal-ba-in-hama

    'mir' ke aage nahin lagta main haklata hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now