KHush-numa peDon ke bichon bich ghar jata hua
ḳhush-numā peḌoñ ke bīchoñ biich ghar jaatā huā
ek rasta saañp kī sūrat meñ bil khātā huā
ek laḌkī rang-o-bū ke vasf ginvātī huī
ek laḌkā āgahī kī ramz samjhātā huā
sab kisāñ paanī ko le kar laḌ rahe haiñ aur ḳhudā
sab kisānoñ kī zamīñ par abr barsātā huā
ek machhlī jhiil ke paanī pe lahrātī huī
ik machherā mistirī se jaal bunvātā huā
ik musāfir par safar meñ mushkileñ aatī huiiñ
ek paudā sahn ke goshe meñ murjhātā huā
nā-balad huuñ az taġhazzul dar ġhazal bā iiñ hama
miir ke aage nahīñ lagtā maiñ haklātā huā
KHush-numa peDon ke bichon bich ghar jata hua
ek rasta sanp ki surat mein bil khata hua
ek laDki rang-o-bu ke wasf ginwati hui
ek laDka aagahi ki ramz samjhata hua
sab kisan pani ko le kar laD rahe hain aur KHuda
sab kisanon ki zamin par abr barsata hua
ek machhli jhil ke pani pe lahraati hui
ek machhera mistiri se jal bunwata hua
ek musafir par safar mein mushkilen aati huin
ek pauda sahn ke goshe mein murjhata hua
na-balad hun az taghazzul dar ghazal ba in hama
mir ke aage nahin lagta main haklata hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.