KHush-numai se mawara tu hai
ḳhush-numā.ī se māvarā tū hai
hai agar koī haq-numā tū hai
tū hī mehvar hai merī gardish kā
aur markaz bhī bā-ḳhudā tū hai
merā maqsad nahīñ hai diid faqat
merā har ek mudda.ā tū hai
jaan levā hai zahr vahshat kā
jis kā tiryāk maut yā tū hai
fahm-o-idrāk se jo baalā hai
vo kahānī vo mājrā tū hai
darmiyāñ bhī hai in.ikās tirā
ibtidā aur intihā tū hai
mujh ko tuġhyāniyoñ kā ḳhauf nahīñ
merī kashtī kā nāḳhudā tū hai
tū hī saaqī hai hauz-e-kausar kā
tū mohammad hai mustafā tū hai
KHush-numai se mawara tu hai
hai agar koi haq-numa tu hai
tu hi mehwar hai meri gardish ka
aur markaz bhi ba-KHuda tu hai
mera maqsad nahin hai did faqat
mera har ek muddaa tu hai
jaan lewa hai zahr wahshat ka
jis ka tiryak maut ya tu hai
fahm-o-idrak se jo baala hai
wo kahani wo majra tu hai
darmiyan bhi hai inikas tera
ibtida aur intiha tu hai
mujh ko tughyaniyon ka KHauf nahin
meri kashti ka naKHuda tu hai
tu hi saqi hai hauz-e-kausar ka
tu mohammad hai mustafa tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.