KHush-o-KHurram na koi zat mili
ḳhush-o-ḳhurram na koī zaat milī
ġham-zada saarī kā.enāt milī
jī se jo bhī guzar gayā ġham meñ
us ko sach-much na.ī hayāt milī
jis ne da.avā kiyā mohabbat kā
us ko ġham se na phir najāt milī
dil ko kyā kyā gumān guzre haiñ
vo nazar jab ba-iltifāt milī
un ko afsāna-e-mohabbat meñ
qābil-e-radd na koī baat milī
saare shikve gile tamām hue
jab gale maut se hayāt milī
shikva-e-hijr kyā karūñ 'sāhir'
jaisī qismat thī vaisī raat milī
KHush-o-KHurram na koi zat mili
gham-zada sari kaenat mili
ji se jo bhi guzar gaya gham mein
us ko sach-much nai hayat mili
jis ne dawa kiya mohabbat ka
us ko gham se na phir najat mili
dil ko kya kya guman guzre hain
wo nazar jab ba-iltifat mili
un ko afsana-e-mohabbat mein
qabil-e-radd na koi baat mili
sare shikwe gile tamam hue
jab gale maut se hayat mili
shikwa-e-hijr kya karun 'sahir'
jaisi qismat thi waisi raat mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.