KHush rahe ya bahut udas rahe
ḳhush rahe yā bahut udaas rahe
zindagī tere ās-pās rahe
chāñd in badliyoñ se niklegā
koī aa.egā dil ko aas rahe
ham mohabbat ke phuul haiñ shāyad
koī kāñTā bhī ās-pās rahe
mere siine meñ is tarah bas jā
merī sāñsoñ meñ terī baas rahe
aaj ham sab ke saath ḳhuub hañse
aur phir der tak udaas rahe
KHush rahe ya bahut udas rahe
zindagi tere aas-pas rahe
chand in badliyon se niklega
koi aaega dil ko aas rahe
hum mohabbat ke phul hain shayad
koi kanTa bhi aas-pas rahe
mere sine mein is tarah bas ja
meri sanson mein teri bas rahe
aaj hum sab ke sath KHub hanse
aur phir der tak udas rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.