KHush tha ki uske pyar ka iqrar le liya
ḳhush thā ki us ke pyaar kā iqrār le liyā
aisā na ho ki jaan kā āzār le liyā
us kī dukāñ meñ kuchh to alag baat thī zarūr
varna ye kyuuñ ki ḳhvāb ḳharīdār le liyā
kam kam hī kholnā thā ma.īshat ke bādbāñ
kyuuñ nāḳhudā ne bār-e-ziyāñ-kār le liyā
shāyad ki bāġhbāñ kī baqā bhī isī meñ thī
shāḳhoñ ke sar se phuul kī dastār le liyā
āhan-garoñ ne saaz mashīnoñ kā chhīn kar
dast-e-hunar se naġhma-e-sarshār le liyā
itnā kahā ki pyaar meñ sehhat bhī chāhiye
phir hans ke mere haath se aḳhbār le liyā
yuuñ lafziyāt-e-ishq ke paikar badal ga.e
ma.anī ke lab se shoḳhī-e-iz.hār le liyā
zaḳhmoñ ke nau-ratan se thā gulzār qasr-e-dil
nādāñ ne shāh-e-faqr kā darbār le liyā
miTTī hamāre gaañv kī kachchī na thī 'shahāb'
naddī ke ik kaTāv ne ghar-bār le liyā
KHush tha ki us ke pyar ka iqrar le liya
aisa na ho ki jaan ka aazar le liya
us ki dukan mein kuchh to alag baat thi zarur
warna ye kyun ki KHwab KHaridar le liya
kam kam hi kholna tha maishat ke baadban
kyun naKHuda ne bar-e-ziyan-kar le liya
shayad ki baghban ki baqa bhi isi mein thi
shaKHon ke sar se phul ki dastar le liya
aahan-garon ne saz mashinon ka chhin kar
dast-e-hunar se naghma-e-sarshaar le liya
itna kaha ki pyar mein sehhat bhi chahiye
phir hans ke mere hath se aKHbar le liya
yun lafziyat-e-ishq ke paikar badal gae
mani ke lab se shoKHi-e-izhaar le liya
zaKHmon ke nau-ratan se tha gulzar qasr-e-dil
nadan ne shah-e-faqr ka darbar le liya
miTTi hamare ganw ki kachchi na thi 'shahab'
naddi ke ek kaTaw ne ghar-bar le liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.