KHusha-nasib haqiqat ye dil ne mani hai
ḳhushā-nasīb haqīqat ye dil ne maanī hai
hayāt ham ko batānī nahīñ banānī hai
rakhe bhī koī to kyūñkar ta.alluq-e-ḳhātir
maiñ ik jazīra mire ird-gird paanī hai
ye kyā ki raa.ī kā parbat banā diyā tum ne
hamārā dil to havādis kī rājdhānī hai
hamārī piiTh meñ ḳhanjar utārne vaale
sitam kī tarz badal de bahut purānī hai
bahut se ahl-e-zabāñ be-zabān jaise haiñ
bahut se gūñgoñ ko zo.am-e-zabān-dānī hai
'amīn'-e-sozish-e-ishq-e-habīb haiñ donoñ
ai sham.a terī mirī ek hī kahānī hai
KHusha-nasib haqiqat ye dil ne mani hai
hayat hum ko batani nahin banani hai
rakhe bhi koi to kyunkar talluq-e-KHatir
main ek jazira mere ird-gird pani hai
ye kya ki rai ka parbat bana diya tum ne
hamara dil to hawadis ki rajdhani hai
hamari piTh mein KHanjar utarne wale
sitam ki tarz badal de bahut purani hai
bahut se ahl-e-zaban be-zaban jaise hain
bahut se gungon ko zoam-e-zaban-dani hai
'amin'-e-sozish-e-ishq-e-habib hain donon
ai shama teri meri ek hi kahani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.