KHusha-nasib ki hai dil mein aarzu teri
ḳhushā-nasīb ki hai dil meñ aarzū terī
mashām-e-jāñ hai mo.attar basī hai bū terī
vo aur hoñge jinheñ hai najāt kī ḳhvāhish
shahīd-e-husn-e-azal ko hai aarzū terī
ġharaz har ek ko terā hī ḳhosha-chīñ paayā
guloñ ne rang uḌāyā sabā ne bū terī
tire jamāl kā kuchh aisā ro.ab taarī thā
sabā bhī chhū na sakī zulf-e-mushkbū terī
fareb-ḳhurda-e-dīvār-o-dar nahīñ 'nāshād'
kare vo dair meñ kyoñ jā ke justujū terī
KHusha-nasib ki hai dil mein aarzu teri
masham-e-jaan hai moattar basi hai bu teri
wo aur honge jinhen hai najat ki KHwahish
shahid-e-husn-e-azal ko hai aarzu teri
gharaz har ek ko tera hi KHosha-chin paya
gulon ne rang uDaya saba ne bu teri
tere jamal ka kuchh aisa roab tari tha
saba bhi chhu na saki zulf-e-mushkbu teri
fareb-KHurda-e-diwar-o-dar nahin 'nashad'
kare wo dair mein kyon ja ke justuju teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.