KHusha-qismat wo aae hain to aise mein dua jage
ḳhushā-qismat vo aa.e haiñ to aise meñ duā jaage
ghaTā barse uThe sāġhar nizām-e-mai-kada jaage
ḳhumār-ālūda āñkheñ surḳh chehra muntashir zulfeñ
vo kyā jaage ki fitrat ke nuqūsh-e-fitna-zā jaage
nahīñ TuuTā abhī pindār zohd-o-ittiqā shāyad
koī sāġhar-ba-kaf jādū-nazar kāfir-adā jaage
hameñ to dekhnā ye hai giregī tab kahāñ bijlī
vo jab añgḌā.ī le kar uTTheñ aur band-e-qabā jaage
mahak kaliyoñ kī phūloñ kā tabassum maañd ho pal meñ
kisī kī zulf ko chhū kar agar bād-e-sabā jaage
kabhī aisā bhī lamha kaash aa jaa.e mohabbat meñ
hamārī ḳhvāhisheñ so jaa.eñ un kā mudda.ā jaage
rahīn-e-ḳhvāb haiñ dair-o-haram ke pāsbāñ ab tak
ye mumkin hai ki rindo mai-kade meñ ab ḳhudā jaage
ye sote haiñ to sone do na chheḌo in ko farzāno
bisāt-e-hosh ulaT deñge jo dīvāne ḳhudā jaage
nizām-e-bahr-o-bar jis ne badal Daalā thā duniyā kā
vahī takbīr phir gūñje vahī dast-e-duā jaage
sukūt-e-mustaqil qismat na ban jaa.e samundar kī
koī tūfān phir uTThe koī mauj-e-balā jaage
abhī se fikr kyoñ radd-e-amal kī 'fauq' karte ho
jafā.eñ aur baḌhne do ki dil kā hausla jaage
KHusha-qismat wo aae hain to aise mein dua jage
ghaTa barse uThe saghar nizam-e-mai-kada jage
KHumar-aluda aankhen surKH chehra muntashir zulfen
wo kya jage ki fitrat ke nuqush-e-fitna-za jage
nahin TuTa abhi pindar zohd-o-ittiqa shayad
koi saghar-ba-kaf jadu-nazar kafir-ada jage
hamein to dekhna ye hai giregi tab kahan bijli
wo jab angDai le kar uTThen aur band-e-qaba jage
mahak kaliyon ki phulon ka tabassum mand ho pal mein
kisi ki zulf ko chhu kar agar baad-e-saba jage
kabhi aisa bhi lamha kash aa jae mohabbat mein
hamari KHwahishen so jaen un ka muddaa jage
rahin-e-KHwab hain dair-o-haram ke pasban ab tak
ye mumkin hai ki rindo mai-kade mein ab KHuda jage
ye sote hain to sone do na chheDo in ko farzano
bisat-e-hosh ulaT denge jo diwane KHuda jage
nizam-e-bahr-o-bar jis ne badal Dala tha duniya ka
wahi takbir phir gunje wahi dast-e-dua jage
sukut-e-mustaqil qismat na ban jae samundar ki
koi tufan phir uTThe koi mauj-e-bala jage
abhi se fikr kyon radd-e-amal ki 'fauq' karte ho
jafaen aur baDhne do ki dil ka hausla jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.