KHushamad kar ke wo pahron kabhi mujhko manata hai
ḳhushāmad kar ke vo pahroñ kabhī mujh ko manātā hai
use merī tarah se chāhne kā Dhañg aatā hai
jahān-e-husn kī ra.anā.iyoñ meñ shauq kā aalam
sharārat jab bhī dil kartā hai dilbar muskurātā hai
ba-sad lutf-o-karam le kar mujhe jaatā hai dariyā tak
Dubo kar mujh ko ḳhud bhī vo usī meñ Duub jaatā hai
ba-vaqt-e-ḳhās mujh ko munkashif kartā hai vo mujh par
vo apnī shān-e-yaktā.ī kā jalva yuuñ dikhātā hai
lakīreñ mere hāthoñ kī yakāyak jagmagātī haiñ
mire hāthoñ meñ jis lamha tumhārā haath aatā hai
mujhe is qism kī koī shikāyat hī nahīñ us se
jalātā hai kuḌhātā hai satātā hai rulātā hai
yahī qissa hai maut-o-zindagī kā ai mire hamdam
koī apnī adā.eñ dil-rubā ke ruḳh dikhātā hai
'suhail' is tarah likhtā hai vo ḳhud-ārā.ī kā qissa
vo apnā naam likh kar phir tumhārā naam laatā hai
KHushamad kar ke wo pahron kabhi mujh ko manata hai
use meri tarah se chahne ka Dhang aata hai
jahan-e-husn ki ranaiyon mein shauq ka aalam
shararat jab bhi dil karta hai dilbar muskuraata hai
ba-sad lutf-o-karam le kar mujhe jata hai dariya tak
Dubo kar mujh ko KHud bhi wo usi mein Dub jata hai
ba-waqt-e-KHas mujh ko munkashif karta hai wo mujh par
wo apni shan-e-yaktai ka jalwa yun dikhata hai
lakiren mere hathon ki yakayak jagmagati hain
mere hathon mein jis lamha tumhaara hath aata hai
mujhe is qism ki koi shikayat hi nahin us se
jalata hai kuDhata hai satata hai rulata hai
yahi qissa hai maut-o-zindagi ka ai mere hamdam
koi apni adaen dil-ruba ke ruKH dikhata hai
'suhail' is tarah likhta hai wo KHud-arai ka qissa
wo apna nam likh kar phir tumhaara nam lata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.