KHushbuon ka shahr ujDa ghar se be-ghar ho gae
ḳhushbuoñ kā shahr ujḌā ghar se be-ghar ho ga.e
bādshāhat haath se niklī gadāgar ho ga.e
tīrgī meñ jā paḌe raushan taqāze sub.h ke
jhuuT sachche the jabhī logoñ ko azbar ho ga.e
jitne arse ham rahe ḳhud-sar anā ke zer-e-pā
zarre sūraj ban ga.e qatre samundar ho ga.e
thā qusūr apnā yahī bas aa.ina shāne pe thā
chehre kyā ubhre sabhī aape se bāhar ho ga.e
jaane kis kī bad-duā 'parvez'-rahmānī lagī
dekhte hī dekhte ahbāb patthar ho ga.e
KHushbuon ka shahr ujDa ghar se be-ghar ho gae
baadshahat hath se nikli gadagar ho gae
tirgi mein ja paDe raushan taqaze subh ke
jhuT sachche the jabhi logon ko azbar ho gae
jitne arse hum rahe KHud-sar ana ke zer-e-pa
zarre suraj ban gae qatre samundar ho gae
tha qusur apna yahi bas aaina shane pe tha
chehre kya ubhre sabhi aape se bahar ho gae
jaane kis ki bad-dua 'parwez'-rahmani lagi
dekhte hi dekhte ahbab patthar ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.