KHushbuon ki dasht se hamsaegi taDpaegi
ḳhushbuoñ kī dasht se hamsā.egī taḌpā.egī
jis ko bhī hāsil huī ye āgahī taḌpā.egī
raushnī ko guñg hote jis ne dekhā ho kabhī
kis havāle se use tīra-shabī taḌpā.egī
kāḌhtā thā maiñ hī sañg-e-saḳht par resham se phuul
kyā ḳhabar thī ye nazar shā.istagī taḌpā.egī
ḳhvāb the pāyāb is kā dukh nahīñ kab thī ḳhabar
mujh ko ta.abīroñ kī ik be-qāmatī taḌpā.egī
maiñ na kahtā thā ki sho.aloñ se na karnā dostī
maiñ na kahtā thā ki ye dariyā-dilī taḌpā.egī
zāviya-dar-zāviya manzar badalte jā.eñge
aañkh saarī aañkh bhar ye zindagī taḌpā.egī
naġhme chup haiñ aur rut bhī kah rahī hai chup raho
kis ko ab dil kī ye nā-āsūdgī taḌpā.egī
aur ik din dasht bādal se churā.eñge nazar
aur mujh ko is kī ye be-ḳhāngī taḌpā.egī
kuchh na kuchh 'manzūr' dil se rābta rah jā.egā
us ko mujh se dostī yā dushmanī taḌpā.egī
KHushbuon ki dasht se hamsaegi taDpaegi
jis ko bhi hasil hui ye aagahi taDpaegi
raushni ko gung hote jis ne dekha ho kabhi
kis hawale se use tira-shabi taDpaegi
kaDhta tha main hi sang-e-saKHt par resham se phul
kya KHabar thi ye nazar shaistagi taDpaegi
KHwab the payab is ka dukh nahin kab thi KHabar
mujh ko tabiron ki ek be-qamati taDpaegi
main na kahta tha ki shoalon se na karna dosti
main na kahta tha ki ye dariya-dili taDpaegi
zawiya-dar-zawiya manzar badalte jaenge
aankh sari aankh bhar ye zindagi taDpaegi
naghme chup hain aur rut bhi kah rahi hai chup raho
kis ko ab dil ki ye na-asudgi taDpaegi
aur ek din dasht baadal se churaenge nazar
aur mujh ko is ki ye be-KHangi taDpaegi
kuchh na kuchh 'manzur' dil se rabta rah jaega
us ko mujh se dosti ya dushmani taDpaegi
- Book : Sher-e-Aasman (Pg. 92)
- Author : Hakim Manzoor
- Publication : Maktaba aariz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.