KHushbuon mein utar rahe hain hum
ḳhushbuoñ meñ utar rahe haiñ ham
tum ko mahsūs kar rahe haiñ ham
ham se lafzoñ ne zindagī paa.ī
aur qistoñ meñ mar rahe haiñ ham
kho na jaa.e kahīñ vajūd apnā
reza reza bikhar rahe haiñ ham
tum ko ābād dekhne ke liye
ḳhud ko barbād kar rahe haiñ ham
terī nazroñ se gir ke aisā lagā
āsmāñ se utar rahe haiñ ham
diid un kī nasīb ho jaa.e
rab se fariyād kar rahe haiñ
KHushbuon mein utar rahe hain hum
tum ko mahsus kar rahe hain hum
hum se lafzon ne zindagi pai
aur qiston mein mar rahe hain hum
kho na jae kahin wajud apna
reza reza bikhar rahe hain hum
tum ko aabaad dekhne ke liye
KHud ko barbaad kar rahe hain hum
teri nazron se gir ke aisa laga
aasman se utar rahe hain hum
did un ki nasib ho jae
rab se fariyaad kar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.