KHushbu-e-gul se jahan sairab tha
ḳhushbū-e-gul se jahāñ sairāb thā
kaliyoñ kā dil jaane kyuuñ betāb thā
zindagī sā zindagī jiine kā shauq
shab kā saaya yā sahar kā ḳhvāb thā
dil kī kashtī paar lagtī kis tarah
hausla māñjhī kā ġharq-e-āb thā
umr bhar Thokar kī zad meñ hī rahā
phir bhī dil to gauhar-e-nāyāb thā
muskurā kar khil uThā sahrā meñ bhī
ḳhanda-zan ġhuncha ajab shādāb thā
justujū meñ jis kī 'uzmā' miT ga.ī
us mohabbat kā nasha kam-yāb thā
KHushbu-e-gul se jahan sairab tha
kaliyon ka dil jaane kyun betab tha
zindagi sa zindagi jine ka shauq
shab ka saya ya sahar ka KHwab tha
dil ki kashti par lagti kis tarah
hausla manjhi ka gharq-e-ab tha
umr bhar Thokar ki zad mein hi raha
phir bhi dil to gauhar-e-nayab tha
muskura kar khil uTha sahra mein bhi
KHanda-zan ghuncha ajab shadab tha
justuju mein jis ki 'uzma' miT gai
us mohabbat ka nasha kam-yab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.