KHushbu gulon mein taron mein tabindagi nahin
ḳhushbū guloñ meñ tāroñ meñ tābindagī nahīñ
tum bin kisī bhī shai meñ koī dilkashī nahīñ
jab tum nahīñ ho paas ḳhushī bhī ḳhushī nahīñ
jaltī hai sham.a sham.a meñ bhī raushnī nahīñ
ulfat meñ bhī sukūn kī daulat milī nahīñ
jiitā to huuñ zarūr magar zindagī nahīñ
vo kyā samajh sakegā mohabbat kī azmateñ
jis ko kabhī kisī se mohabbat huī nahīñ
tum mujh ko bevafā.ī ke ta.ane hazār do
ilzām-e-bevafā.ī se tum bhī barī nahīñ
jab se lagī hai aañkh mirī husn-e-yār se
sach pūchhiye to aañkh abhī tak lagī nahīñ
is tarah rāh-e-ishq meñ sajde adā kiye
merī jabīn-e-shauq jhukī phir uThī nahīñ
KHushbu gulon mein taron mein tabindagi nahin
tum bin kisi bhi shai mein koi dilkashi nahin
jab tum nahin ho pas KHushi bhi KHushi nahin
jalti hai shama shama mein bhi raushni nahin
ulfat mein bhi sukun ki daulat mili nahin
jita to hun zarur magar zindagi nahin
wo kya samajh sakega mohabbat ki azmaten
jis ko kabhi kisi se mohabbat hui nahin
tum mujh ko bewafai ke tane hazar do
ilzam-e-bewafai se tum bhi bari nahin
jab se lagi hai aankh meri husn-e-yar se
sach puchhiye to aankh abhi tak lagi nahin
is tarah rah-e-ishq mein sajde ada kiye
meri jabin-e-shauq jhuki phir uThi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.