KHushbu hamare pyar ki har su bikhar to jae
ḳhushbū hamāre pyaar kī har sū bikhar to jaa.e
bastī se iḳhtilāf kā tūfāñ guzar to jaa.e
merā yaqīn hai use mil jā.egā sukūñ
tūfān merī kashtī meñ do pal Thahar to jaa.e
tanqīd-o-tabsira koī kuchh bhī kare to kyā
merī ġhazal janāb ke dil meñ utar to jaa.e
us se lipaT ke ro.eñgī saarī udāsiyāñ
shām-e-ġham-e-firāq kabhī mere ghar to jaa.e
phir jaa.e vo ḳhalāoñ meñ tahqīq ke liye
apne badan ke ġhaar meñ pahle utar to jaa.e
hai un kī tarbiyat pe nazar is liye mirī
bachchoñ meñ merī zaat kā thoḌā asar to jaa.e
samjhā na us kī pyaas ko ab tak koī yahāñ
dariyā kī tah meñ kaash kisī kī nazar to jaa.e
ye yātrā bhī amn kī dushman na ho kahīñ
logoñ ke dil se pahle ye ḳhauf-o-ḳhatar to jaa.e
kahte the ye 'jamīl' se kal ‘mustafā-jamīl'
merī nazar se aage kisī kī nazar to jaa.e
KHushbu hamare pyar ki har su bikhar to jae
basti se iKHtilaf ka tufan guzar to jae
mera yaqin hai use mil jaega sukun
tufan meri kashti mein do pal Thahar to jae
tanqid-o-tabsira koi kuchh bhi kare to kya
meri ghazal janab ke dil mein utar to jae
us se lipaT ke roengi sari udasiyan
sham-e-gham-e-firaq kabhi mere ghar to jae
phir jae wo KHalaon mein tahqiq ke liye
apne badan ke ghaar mein pahle utar to jae
hai un ki tarbiyat pe nazar is liye meri
bachchon mein meri zat ka thoDa asar to jae
samjha na us ki pyas ko ab tak koi yahan
dariya ki tah mein kash kisi ki nazar to jae
ye yatra bhi amn ki dushman na ho kahin
logon ke dil se pahle ye KHauf-o-KHatar to jae
kahte the ye 'jamil' se kal ‘mustafa-jamil'
meri nazar se aage kisi ki nazar to jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.