KHushbu hamare pyar ki us tak pahunch gai
ḳhushbū hamāre pyaar kī us tak pahuñch ga.ī
tasvīr e'tibār kī us tak pahuñch ga.ī
āvāz de rahā thā koī duur se mujhe
tanhā.ī intizār kī us tak pahuñch ga.ī
kal shaam hī to us se milī thī mirī nazar
shiddat mire ḳhumār kī us tak pahuñch ga.ī
vo mujh ko chāhtā hai mujhe tab pata chalā
chābī jab iḳhtiyār kī us tak pahuñch ga.ī
pāgal havā ne haal sab us ko batā diyā
ya.anī ḳhabar bahār kī us tak pahuñch ga.ī
KHushbu hamare pyar ki us tak pahunch gai
taswir e'tibar ki us tak pahunch gai
aawaz de raha tha koi dur se mujhe
tanhai intizar ki us tak pahunch gai
kal sham hi to us se mili thi meri nazar
shiddat mere KHumar ki us tak pahunch gai
wo mujh ko chahta hai mujhe tab pata chala
chabi jab iKHtiyar ki us tak pahunch gai
pagal hawa ne haal sab us ko bata diya
yani KHabar bahaar ki us tak pahunch gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.