KHushbu ka jism nur ka paikar badal gaya
ḳhushbū kā jism nuur kā paikar badal gayā
shabnam kī sard aag se patthar pighal gayā
titlī ke pīchhe dauḌte bachche ko kyā milā
hāthoñ meñ rañg rah gayā paañv phisal gayā
āñchal meñ dhuup zulf meñ sho.aloñ kī aañch hai
jaa.eñ kahāñ ki pyaar kā mausam badal gayā
maazī kī ḳhānqāh se bāhar to dekhiye
ḳhvāboñ kī rut chalī ga.ī sikka badal gayā
apnā sā ye koī pas-e-ā.īna kaun hai
āñkhoñ meñ aaj kis liye sāvan machal gayā
dīvāna chīḳh chīḳh ke malbe pe so gayā
pichhle baras yahīñ thā mirā ghar ki jal gayā
phir aaj us ke lams meñ jakḌā huā huuñ maiñ
phir aaj ḳhvāhishoñ kā samundar ubal gayā
KHushbu ka jism nur ka paikar badal gaya
shabnam ki sard aag se patthar pighal gaya
titli ke pichhe dauDte bachche ko kya mila
hathon mein rang rah gaya panw phisal gaya
aanchal mein dhup zulf mein shoalon ki aanch hai
jaen kahan ki pyar ka mausam badal gaya
mazi ki KHanqah se bahar to dekhiye
KHwabon ki rut chali gai sikka badal gaya
apna sa ye koi pas-e-aina kaun hai
aankhon mein aaj kis liye sawan machal gaya
diwana chiKH chiKH ke malbe pe so gaya
pichhle baras yahin tha mera ghar ki jal gaya
phir aaj us ke lams mein jakDa hua hun main
phir aaj KHwahishon ka samundar ubal gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.