KHushbu ki KHanqah mein hai mera dasht-e-sabz
ḳhushbū kī ḳhānqāh meñ hai merā dasht-e-sabz
ik ḳhvāb kī panāh meñ hai merā dasht-e-sabz
kis lams kī talab meñ humaktā hai roz-o-shab
kis ḳhvāhish-e-gunāh meñ hai merā dasht-e-sabz
har sub.h-e-āfrīñ kī tamanna meñ hai mudām
har shaam kī nigāh meñ hai merā dasht-e-sabz
go ḳhaak kar chukī hai mujhe terī aarzū
phir bhī tire nibāh meñ hai merā dasht-e-sabz
ai dīda-e-nihāl kī ḳhush-dīda mauj-e-tar
muddat se terī raah meñ hai merā dasht-e-sabz
vo ranj-e-ārzū mirā sadiyoñ ko hai muhīt
jis lamha-e-tabāh meñ hai merā dasht-e-sabz
dhaḌkā lagā huā hai shab-o-roz ab mujhe
kuchh din se chashm-e-shāh meñ hai merā dasht-e-sabz
sāñsoñ se rauñdtā huuñ tamanna ke reg-zār
jab se mirī sipāh meñ hai merā dasht-e-sabz
KHushbu ki KHanqah mein hai mera dasht-e-sabz
ek KHwab ki panah mein hai mera dasht-e-sabz
kis lams ki talab mein humakta hai roz-o-shab
kis KHwahish-e-gunah mein hai mera dasht-e-sabz
har subh-e-afrin ki tamanna mein hai mudam
har sham ki nigah mein hai mera dasht-e-sabz
go KHak kar chuki hai mujhe teri aarzu
phir bhi tere nibah mein hai mera dasht-e-sabz
ai dida-e-nihaal ki KHush-dida mauj-e-tar
muddat se teri rah mein hai mera dasht-e-sabz
wo ranj-e-arzu mera sadiyon ko hai muhit
jis lamha-e-tabah mein hai mera dasht-e-sabz
dhaDka laga hua hai shab-o-roz ab mujhe
kuchh din se chashm-e-shah mein hai mera dasht-e-sabz
sanson se raundta hun tamanna ke reg-zar
jab se meri sipah mein hai mera dasht-e-sabz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.