KHushbu ki qindil jalai aur sajai sham
ḳhushbū kī qindīl jalā.ī aur sajā.ī shaam
shab ne dhīre se dastak dī aur bujhā.ī shaam
tere ḳhayāl se ḳhud ko sochā jagmag diip jale
terī aañkh se ḳhud ko dekhā aur muskā.ī shaam
tere dhyān kā kañgan chhankā Dheroñ saaz baje
terī yaad kā kājal pahnā aur sharmā.ī shaam
bāñheñ tan kā haar huiiñ sab lamhe bane gulāb
bulbul ne ik giit sunāyā aur shahnā.ī shaam
dīvānoñ ne dīvānoñ se pūchhā kaun hai vo
jis ke ishq meñ pāgal rainā aur shaidā.ī shaam
birhā aag meñ jal jal kar tan saarā raakh huā
raakh se uTThī ik siskārī aur kurlā.ī shaam
naināon kī badrī se jhar-jhar motī barseñ
chandarmā ne nazar utārī aur fidā.ī shaam
KHushbu ki qindil jalai aur sajai sham
shab ne dhire se dastak di aur bujhai sham
tere KHayal se KHud ko socha jagmag dip jale
teri aankh se KHud ko dekha aur muskai sham
tere dhyan ka kangan chhanka Dheron saz baje
teri yaad ka kajal pahna aur sharmai sham
banhen tan ka haar huin sab lamhe bane gulab
bulbul ne ek git sunaya aur shahnai sham
diwanon ne diwanon se puchha kaun hai wo
jis ke ishq mein pagal raina aur shaidai sham
birha aag mein jal jal kar tan sara rakh hua
rakh se uTThi ek siskari aur kurlai sham
nainaon ki badri se jhar-jhar moti barsen
chandarma ne nazar utari aur fidai sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.