KHushbu ki tarah dil ke gulabon mein rahega
ḳhushbū kī tarah dil ke gulāboñ meñ rahegā
vo chāñd hamesha mire ḳhvāboñ meñ rahegā
bhīgī huī āñkhoñ se gale mil ke bichhaḌnā
vo shaḳhs sadā dil ke nisāboñ meñ rahegā
shāyad maiñ abhī us ke jigar tak nahīñ utrā
shāyad vo abhī aur naqāboñ meñ rahegā
sāñsoñ kī tarah maiñ terī nas nas meñ rahūñgā
kho kar tū mujhe ḳhud bhī azāboñ meñ rahegā
nashsha to tere qurb kā hai jān-e-tamannā
kyā lutf tire ba.ad sharāboñ meñ rahegā
haañ pyaar hai haañ pyaar hai suulī pe chaḌhā do
iqrār hai iqrār javāboñ meñ rahegā
phir zard ruteñ dil pe utarne lagīñ 'ayyāz'
dil tab hī bachegā jo ḳharāboñ meñ rahegā
KHushbu ki tarah dil ke gulabon mein rahega
wo chand hamesha mere KHwabon mein rahega
bhigi hui aankhon se gale mil ke bichhaDna
wo shaKHs sada dil ke nisabon mein rahega
shayad main abhi us ke jigar tak nahin utra
shayad wo abhi aur naqabon mein rahega
sanson ki tarah main teri nas nas mein rahunga
kho kar tu mujhe KHud bhi azabon mein rahega
nashsha to tere qurb ka hai jaan-e-tamanna
kya lutf tere baad sharabon mein rahega
han pyar hai han pyar hai suli pe chaDha do
iqrar hai iqrar jawabon mein rahega
phir zard ruten dil pe utarne lagin 'ayyaz'
dil tab hi bachega jo KHarabon mein rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.