KHushbu ki tarah milta hai wada nahin karta
ḳhushbū kī tarah miltā hai va.ada nahīñ kartā
mausam kā parinda hai Thikānā nahīñ kartā
vo ishq meñ sho.aloñ kā talabgār hai lekin
is aag meñ mar jaane kā saudā nahīñ kartā
vo pichhlī mohabbat meñ mire dil kā ḳhasāra
asbāb-e-darūñ vo kabhī pūchhā nahīñ kartā
kartā hai har ik rañg kī chiḌiyoñ se vo bāteñ
pahnā.ī meñ dil kī kabhī utrā nahīñ kartā
is shahr meñ jiine kī adā siikh rahī huuñ
biite hue kal par ye guzārā nahīñ kartā
KHushbu ki tarah milta hai wada nahin karta
mausam ka parinda hai Thikana nahin karta
wo ishq mein shoalon ka talabgar hai lekin
is aag mein mar jaane ka sauda nahin karta
wo pichhli mohabbat mein mere dil ka KHasara
asbab-e-darun wo kabhi puchha nahin karta
karta hai har ek rang ki chiDiyon se wo baaten
pahnai mein dil ki kabhi utra nahin karta
is shahr mein jine ki ada sikh rahi hun
bite hue kal par ye guzara nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.