KHushbu ko qaid-e-gul se riha kar diya gaya
ḳhushbū ko qaid-e-gul se rihā kar diyā gayā
aur us ke baa'd rizq-e-havā kar diyā gayā
ik dil-navāz ġham kī ye mujh par navāzisheñ
merī barahnagī ko qabā kar diyā gayā
jo bhī milā usī kā garebān chaak thā
ḳhanjar-ba-dast dast-e-sabā kar diyā gayā
thī aadmī ko aur zarūrat zamīn kī
ye kyā ki āsmāñ ko sivā kar diyā gayā
guzrā jo ham pe us kī ḳhudā.ī meñ dosto
vo haar kar supurd-e-ḳhudā kar diyā gayā
us ne kahā ki mujh se bichhaḌne pe ye sukūt
to zindagī meñ hashr bapā kar diyā gayā
majbūr the to raat use mānñā paḌā
jab rang raushnī se judā kar diyā gayā
miTTī kā jism thā so vo miTTī ko de diyā
ye qarz-e-āḳhirī bhī adā kar diyā gayā
KHushbu ko qaid-e-gul se riha kar diya gaya
aur us ke ba'd rizq-e-hawa kar diya gaya
ek dil-nawaz gham ki ye mujh par nawazishen
meri barahnagi ko qaba kar diya gaya
jo bhi mila usi ka gareban chaak tha
KHanjar-ba-dast dast-e-saba kar diya gaya
thi aadmi ko aur zarurat zamin ki
ye kya ki aasman ko siwa kar diya gaya
guzra jo hum pe us ki KHudai mein dosto
wo haar kar supurd-e-KHuda kar diya gaya
us ne kaha ki mujh se bichhaDne pe ye sukut
to zindagi mein hashr bapa kar diya gaya
majbur the to raat use manna paDa
jab rang raushni se juda kar diya gaya
miTTi ka jism tha so wo miTTi ko de diya
ye qarz-e-aKHiri bhi ada kar diya gaya
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 59)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.