KHushbu rahi chaman mein na wo rang rah gaya
KHushbu rahi chaman mein na wo rang rah gaya
Syed Fakhruddiin Balley
MORE BYSyed Fakhruddiin Balley
ḳhushbū rahī chaman meñ na vo rang rah gayā
turbat pe gul kī ḳhaar kā sarhang rah gayā
maiñ bhī badal gayā huuñ zamāne ke saath saath
ā.īna aaj dekhā to ḳhud dang rah gayā
ho lab pe raam raam baġhal meñ rahe chhurī
jiine kā is jahāñ meñ yahī Dhang rah gayā
har sang bhārī hotā hai apne maqām par
insāñ ḳhalā meñ pahuñchā to pāsañg rah gayā
gul-hā-e-rang-rang ravish-dar-ravish mile
dāman hī aarzū kā mirī tang rah gayā
KHushbu rahi chaman mein na wo rang rah gaya
turbat pe gul ki KHar ka sarhang rah gaya
main bhi badal gaya hun zamane ke sath sath
aaina aaj dekha to KHud dang rah gaya
ho lab pe ram ram baghal mein rahe chhuri
jine ka is jahan mein yahi Dhang rah gaya
har sang bhaari hota hai apne maqam par
insan KHala mein pahuncha to pasang rah gaya
gul-ha-e-rang-rang rawish-dar-rawish mile
daman hi aarzu ka meri tang rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.