KHushbu sandal aur na gahna dukh dega
ḳhushbū sandal aur na gahnā dukh degā
ik jaisā dukh sahte rahnā dukh degā
Dartī kyuuñ hai āñkheñ terī achchhī haiñ
lekin in kā chup chup bahnā dukh degā
jo ham donoñ ne mil-jul kar jhele the
vo dukh terā tanhā sahnā dukh degā
jis ne ham ko āñgan āñgan baañT diyā
ab to us dīvār kā Dhahnā dukh degā
KHushbu sandal aur na gahna dukh dega
ek jaisa dukh sahte rahna dukh dega
Darti kyun hai aankhen teri achchhi hain
lekin in ka chup chup bahna dukh dega
jo hum donon ne mil-jul kar jhele the
wo dukh tera tanha sahna dukh dega
jis ne hum ko aangan aangan banT diya
ab to us diwar ka Dhahna dukh dega
- Book : Kunj Pele Pholon ka (Pg. 60)
- Author : Ishrat Aaafreen
- Publication : Malik Noorani (1985)
- Edition : 4.3
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.