KHushbu se ho saka na wo manus aaj tak
ḳhushbū se ho sakā na vo mānūs aaj tak
kāñToñ ke nashtaroñ meñ hai malbūs aaj tak
kirnoñ kī dāstān sunā.egā ek din
ḳhāmosh jhūltā hai jo fānūs aaj tak
bastī meñ baT rahī thī hañsī bhī hisāb se
shashdar khaḌā hai sochtā kanjūs aaj tak
lafzoñ kī narmiyoñ se khulā chāñd is tarah
kartī huuñ us kī raushnī mahsūs aaj tak
rañg-e-chaman se vāsta us ko kahāñ rahā
raqs-e-junūñ meñ gum hai jo tā.ūs aaj tak
kajlā ga.ī hai raushnī garche charāġh kī
lekin nahīñ huuñ aas se māyūs aaj tak
kis tarah aadmī kā pata pā.egī 'sadaf'
jañgal meñ shar ke hai ghirā jāsūs aaj tak
KHushbu se ho saka na wo manus aaj tak
kanTon ke nashtaron mein hai malbus aaj tak
kirnon ki dastan sunaega ek din
KHamosh jhulta hai jo fanus aaj tak
basti mein baT rahi thi hansi bhi hisab se
shashdar khaDa hai sochta kanjus aaj tak
lafzon ki narmiyon se khula chand is tarah
karti hun us ki raushni mahsus aaj tak
rang-e-chaman se wasta us ko kahan raha
raqs-e-junun mein gum hai jo taus aaj tak
kajla gai hai raushni garche charagh ki
lekin nahin hun aas se mayus aaj tak
kis tarah aadmi ka pata paegi 'sadaf'
jangal mein shar ke hai ghira jasus aaj tak
- Book : Sargoshi Baharon Ki (Pg. 116)
- Author : Sadaf Jafri
- Publication : Maktaba Talimat (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.