KHushbu se teri hath milane ka shauq hai
ḳhushbū se terī haath milāne kā shauq hai
phir us ko do-jahāñ se chhupāne kā shauq hai
āñkheñ hoñ ḳhvāb hoñ ki shikasta imārateñ
har ik khañDar meñ diip jalāne kā shauq hai
kuchh der apne saath bhī rahne do ab hameñ
is raushnī ko ā.īna-ḳhāne kā shauq hai
iz.hār-e-ās shauq-e-tamāshā fasurdagī
kyoñ dil ko itnā baar uThāne kā shauq hai
hijrat azal se hai mire ajdād kā shi.ār
mujh ko bhī ek naav banāne kā shauq hai
kyoñ ham ye baat baat pe dene lage javāb
in ko to ḳhair baat baḌhāne kā shauq hai
ik nuur hī to saare taḳhayyul kī jaan hai
aur is pe ham ko rañg jamāne kā shauq hai
har ek ko sanam ho ḳhudā ho ki aadmī
māthe pe mere daaġh lagāne kā shauq hai
barbād hote jā.eñge jitnā karoge tum
ham ko tumhārā haath banāne kā shauq hai
'nainā' unhī kī samt safar kar rahī huuñ maiñ
raste meñ jin ko dhuup bichhāne kā shauq hai
KHushbu se teri hath milane ka shauq hai
phir us ko do-jahan se chhupane ka shauq hai
aankhen hon KHwab hon ki shikasta imaraten
har ek khanDar mein dip jalane ka shauq hai
kuchh der apne sath bhi rahne do ab hamein
is raushni ko aaina-KHane ka shauq hai
izhaar-e-as shauq-e-tamasha fasurdagi
kyon dil ko itna bar uThane ka shauq hai
hijrat azal se hai mere ajdad ka shiar
mujh ko bhi ek naw banane ka shauq hai
kyon hum ye baat baat pe dene lage jawab
in ko to KHair baat baDhane ka shauq hai
ek nur hi to sare taKHayyul ki jaan hai
aur is pe hum ko rang jamane ka shauq hai
har ek ko sanam ho KHuda ho ki aadmi
mathe pe mere dagh lagane ka shauq hai
barbaad hote jaenge jitna karoge tum
hum ko tumhaara hath banane ka shauq hai
'naina' unhi ki samt safar kar rahi hun main
raste mein jin ko dhup bichhane ka shauq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.