KHushi ban kar hansi ban kar dua ban kar mahakta hai
KHushi ban kar hansi ban kar dua ban kar mahakta hai
Divya Bhasin Kochar
MORE BYDivya Bhasin Kochar
ḳhushī ban kar hañsī ban kar du'ā ban kar mahaktā hai
ghule ḳhushbū buzurgoñ kī jahāñ vo ghar mahaktā hai
mire aane kī jab pahuñche ḳhabar sun kar mahaktā hai
mire aate hī pīhar kā har ik patthar mahaktā hai
sabhī kā dhyān bar-bas khīñch letā hai kahānī meñ
mirā kirdār adnā sā hai par aksar mahaktā hai
mire lahje meñ ab ghulne lagī haiñ ḳhushbueñ terī
sabhī kahte haiñ mujh meñ ab mirā dilbar mahaktā hai
mujhe dī thī mirī maañ ne jo ik tahzīb kī chūnar
maiñ jab bhī oḌh kar niklūñ to merā sar mahaktā hai
mujhe chhū kar gayā hai jab se terī yaad kā jhoñkā
khilā gulshan koī 'divyā' mire andar mahaktā hai
KHushi ban kar hansi ban kar du'a ban kar mahakta hai
ghule KHushbu buzurgon ki jahan wo ghar mahakta hai
mere aane ki jab pahunche KHabar sun kar mahakta hai
mere aate hi pihar ka har ek patthar mahakta hai
sabhi ka dhyan bar-bas khinch leta hai kahani mein
mera kirdar adna sa hai par aksar mahakta hai
mere lahje mein ab ghulne lagi hain KHushbuen teri
sabhi kahte hain mujh mein ab mera dilbar mahakta hai
mujhe di thi meri man ne jo ek tahzib ki chunar
main jab bhi oDh kar niklun to mera sar mahakta hai
mujhe chhu kar gaya hai jab se teri yaad ka jhonka
khila gulshan koi 'diwya' mere andar mahakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.