ḳhushī bhī chhīn lūñgā dukh manā le
sitam tere sahūñgā dukh manā le
jise bhī yaad aatī hai mirī ab
use bas ye kahūñgā dukh manā le
terī taqdīr hai ta.abīr merī
tujhe maiñ hī milūñgā dukh manā le
tirī ye haar mujh ko dard degī
ḳhudī dil toḌ lūñgā dukh manā le
yuuñ jaltā chhoḌ kar ġhalatī karī hai
maiñ sab kuchh le jalūñgā dukh manā le
mirā dil bhī mujhe lalkārtā hai
mohabbat phir karūñgā dukh manā le
'safar' gar rahzanoñ kā rab ne pūchhā
tirā hī naam lūñgā dukh manā le
KHushi bhi chhin lunga dukh mana le
sitam tere sahunga dukh mana le
jise bhi yaad aati hai meri ab
use bas ye kahunga dukh mana le
teri taqdir hai tabir meri
tujhe main hi milunga dukh mana le
teri ye haar mujh ko dard degi
KHudi dil toD lunga dukh mana le
yun jalta chhoD kar ghalati kari hai
main sab kuchh le jalunga dukh mana le
mera dil bhi mujhe lalkarta hai
mohabbat phir karunga dukh mana le
'safar' gar rahzanon ka rab ne puchha
tera hi nam lunga dukh mana le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.