KHushi dekhte hain na gham dekhte hain
KHushi dekhte hain na gham dekhte hain
Hakim Mazhar Subhan Usmani
MORE BYHakim Mazhar Subhan Usmani
ḳhushī dekhte haiñ na ġham dekhte haiñ
faqat terī marzī ko ham dekhte haiñ
kabhī un nigāhoñ se tum bhī to dekho
tumheñ jin nigāhoñ se ham dekhte haiñ
ye kah do vo tūfāñ se dāman bachā.eñ
jo hañs hañs ke ye chashm-e-nam dekhte haiñ
yahāñ par ḳhudī ishq kī jaag uThī hai
vahāñ husn kā sar bhī ḳham dekhte haiñ
tumhāre sitam kā unheñ ḳhauf kyā ho
sitam meñ jo lutf-o-karam dekhte haiñ
nahīñ pā.eñge apnī manzil vo 'maz.har'
jo ġhairoñ ke naqsh-e-qadam dekhte haiñ
KHushi dekhte hain na gham dekhte hain
faqat teri marzi ko hum dekhte hain
kabhi un nigahon se tum bhi to dekho
tumhein jin nigahon se hum dekhte hain
ye kah do wo tufan se daman bachaen
jo hans hans ke ye chashm-e-nam dekhte hain
yahan par KHudi ishq ki jag uThi hai
wahan husn ka sar bhi KHam dekhte hain
tumhaare sitam ka unhen KHauf kya ho
sitam mein jo lutf-o-karam dekhte hain
nahin paenge apni manzil wo 'mazhar'
jo ghairon ke naqsh-e-qadam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.