KHushi dekhte hain na gham dekhte hain
ḳhushī dekhte haiñ na ġham dekhte haiñ
ham andāz-e-ahl-e-karam dekhte haiñ
har ik shai meñ jazb-e-tasavvur ke sadqe
tumhīñ ko tumhārī qasam dekhte haiñ
sabā sub.h-dam jaane kyā kah ga.ī hai
guloñ kī bhī āñkhoñ ko nam dekhte haiñ
jhukā dete haiñ ham jabīn-e-aqīdat
jahāñ un kā naqsh-e-qadam dekhte haiñ
tirī chashm-e-mai-gūñ ke mai-ḳhvār haiñ jo
vo kab jānib-e-jām-e-jam dekhte haiñ
ye ahl-e-mohabbat kā tarz-e-nazar hai
sitam meñ bhī rang-e-karam dekhte haiñ
'tarab' jāda-paimā-e-ulfat jahāñ meñ
kahāñ raah ke pech-o-ḳham dekhte haiñ
KHushi dekhte hain na gham dekhte hain
hum andaz-e-ahl-e-karam dekhte hain
har ek shai mein jazb-e-tasawwur ke sadqe
tumhin ko tumhaari qasam dekhte hain
saba subh-dam jaane kya kah gai hai
gulon ki bhi aankhon ko nam dekhte hain
jhuka dete hain hum jabin-e-aqidat
jahan un ka naqsh-e-qadam dekhte hain
teri chashm-e-mai-gun ke mai-KHwar hain jo
wo kab jaanib-e-jam-e-jam dekhte hain
ye ahl-e-mohabbat ka tarz-e-nazar hai
sitam mein bhi rang-e-karam dekhte hain
'tarab' jada-paima-e-ulfat jahan mein
kahan rah ke pech-o-KHam dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.