KHushi hai apni na koi malal hai apna
ḳhushī hai apnī na koī malāl hai apnā
vo be-dilī hai ki jiinā muhāl hai apnā
na vo visāl ke qisse na hijr kā ronā
baḌā ajiib sā kuchh din se haal hai apnā
nigāh-e-shauq kī is ko abhī kahāñ parvā
abhī vo shaḳhs asīr-e-jamāl hai apnā
mirī tarah bhī koī zabt-e-ġham se kaam na le
ki apne-āp se poshīda haal hai apnā
ham aise sāhab-e-fan aur ye shahr-e-nā-pursāñ
agar haiñ zinda to ye bhī kamāl hai apnā
jo vo nahīñ na sahī yaad hī sahī us kī
koī to hai jise 'ḳhāvar' ḳhayāl hai apnā
KHushi hai apni na koi malal hai apna
wo be-dili hai ki jina muhaal hai apna
na wo visal ke qisse na hijr ka rona
baDa ajib sa kuchh din se haal hai apna
nigah-e-shauq ki is ko abhi kahan parwa
abhi wo shaKHs asir-e-jamal hai apna
meri tarah bhi koi zabt-e-gham se kaam na le
ki apne-ap se poshida haal hai apna
hum aise sahab-e-fan aur ye shahr-e-na-pursan
agar hain zinda to ye bhi kamal hai apna
jo wo nahin na sahi yaad hi sahi us ki
koi to hai jise 'KHawar' KHayal hai apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.