KHushi har dam nahin rahti musalsal gham nahin hota
ḳhushī har dam nahīñ rahtī musalsal ġham nahīñ hotā
mohabbat meñ hamesha ek sā mausam nahīñ hotā
salīqe se bichhaḌte ham pashemānī nahīñ hotī
tumheñ sadma nahīñ hotā hameñ bhī ġham nahīñ hotā
bichhaḌ kar bhī bahut nazdīk rahtā hai tirā saaya
vo mujh se duur jaatā hai magar maddham nahīñ hotā
shikasta paañv vaale bhī to manzil tak pahuñchte haiñ
bahut dushvār rāhoñ meñ bhī jazba kam nahīñ hotā
safā marva nahīñ hotā har ik paanī kī qismat meñ
taḌap kar jo na nikle aab vo zamzam nahīñ hotā
qabīle meñ abhī thoḌī bahut sachchā.ī baaqī hai
yazīd-e-vaqt ke aage mirā sar ḳham nahīñ hotā
'surūr' us ne mohabbat kī qalam se kuchh to likkhā hai
tirā ġham gar nahīñ likhtā to kāġhaz nam nahīñ hotā
KHushi har dam nahin rahti musalsal gham nahin hota
mohabbat mein hamesha ek sa mausam nahin hota
saliqe se bichhaDte hum pashemani nahin hoti
tumhein sadma nahin hota hamein bhi gham nahin hota
bichhaD kar bhi bahut nazdik rahta hai tera saya
wo mujh se dur jata hai magar maddham nahin hota
shikasta panw wale bhi to manzil tak pahunchte hain
bahut dushwar rahon mein bhi jazba kam nahin hota
safa marwa nahin hota har ek pani ki qismat mein
taDap kar jo na nikle aab wo zamzam nahin hota
qabile mein abhi thoDi bahut sachchai baqi hai
yazid-e-waqt ke aage mera sar KHam nahin hota
'surur' us ne mohabbat ki qalam se kuchh to likkha hai
tera gham gar nahin likhta to kaghaz nam nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.