KHushi jaante hain na gham jaante hain
ḳhushī jānte haiñ na ġham jānte haiñ
jo un kī razā ho vo ham jānte haiñ
jo kuchh chaar tinkoñ ko ham jānte haiñ
vo gulchīn-o-sayyād kam jānte haiñ
tumhāre hī jalvoñ kī ham raushnī ko
tajallī-e-dair-o-haram jānte haiñ
maiñ qātil na mahshar meñ samjhūñ bhī to kyā
tumheñ sab ḳhudā kī qasam jānte haiñ
mirī ḳhāk-e-dil kā patā bhī nahīñ hai
vo itne sitam ko bhī kam jānte haiñ
ḳhudā ko ḳhudā ham samajhte haiñ vaa.iz
magar haañ sanam ko sanam jānte haiñ
kareñge na arz-e-tamannā ki ham ḳhud
mohabbat kā apnī bharam jānte haiñ
vahī kuchh samajhte haiñ asrār-e-hastī
jo hastī ko apnī adam jānte haiñ
matā-e-do-ālam samajhte haiñ ham bhī
magar chaar tinkoñ se kam jānte haiñ
kahīñ rāz-e-ulfat bhī hotā hai zāhir
kaheñ kyoñ jo kuchh tum ko ham jānte haiñ
ḳhudā ko vahī ḳhuub pahchānte haiñ
tumheñ jo ḳhudā kī qasam jānte haiñ
khulī haiñ dam-e-naz.a āñkheñ jo 'afqar'
abhī tak vo āñkhoñ meñ dam jānte haiñ
KHushi jaante hain na gham jaante hain
jo un ki raza ho wo hum jaante hain
jo kuchh chaar tinkon ko hum jaante hain
wo gulchin-o-sayyaad kam jaante hain
tumhaare hi jalwon ki hum raushni ko
tajalli-e-dair-o-haram jaante hain
main qatil na mahshar mein samjhun bhi to kya
tumhein sab KHuda ki qasam jaante hain
meri KHak-e-dil ka pata bhi nahin hai
wo itne sitam ko bhi kam jaante hain
KHuda ko KHuda hum samajhte hain waiz
magar han sanam ko sanam jaante hain
karenge na arz-e-tamanna ki hum KHud
mohabbat ka apni bharam jaante hain
wahi kuchh samajhte hain asrar-e-hasti
jo hasti ko apni adam jaante hain
mata-e-do-alam samajhte hain hum bhi
magar chaar tinkon se kam jaante hain
kahin raaz-e-ulfat bhi hota hai zahir
kahen kyon jo kuchh tum ko hum jaante hain
KHuda ko wahi KHub pahchante hain
tumhein jo KHuda ki qasam jaante hain
khuli hain dam-e-naza aankhen jo 'afqar'
abhi tak wo aankhon mein dam jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.