KHushi jo saya-e-gham mein rahe phir wo KHushi kyon ho
ḳhushī jo sāya-e-ġham meñ rahe phir vo ḳhushī kyoñ ho
grahan jo chāñd ko lag jaa.e to phir chāñdnī kyoñ ho
adā-e-husn-e-dil-kash ko zarā samjhe to ye duniyā
tavajjoh is meñ pinhāñ hai ye un kī be-ruḳhī kyoñ ho
ise kuchh aur hī kahiye ki dil dukhtā hai ye sun kar
jab is meñ maut shāmil hai to phir ye zindagī kyoñ ho
agar miliye kisī se aap to dil khol kar miliye
ḳhulūs-e-dil hī jab na ho to phir mil kar ḳhushī kyoñ ho
ḳhushī ke vaqt meñ kyoñ ḳhaas sadme yaad aate haiñ
ki hoñToñ pe hañsī ke saath āñkhoñ meñ namī kyoñ ho
agar lālach se jannat ke jahannum kī ye dahshat se
kiye jo umr bhar sajde bhī to ye bandagī kyoñ ho
jahāñ meñ aur bhī ik ajnabī baḌh jaa.e to kyā hai
na ho paa.e kisī se dostī to dushmanī kyoñ ho
tamannā ḳhaas dil kī un se is Dar se nahīñ kahte
ki āġhāz-e-mohabbat hī meñ un se dushmanī kyoñ ho
hameñ piine kī hasrat hī nahīñ baaqī hai ab 'sāhil'
bujhā dī āñso.oñ ne pyaas to phir tishnagī kyoñ ho
KHushi jo saya-e-gham mein rahe phir wo KHushi kyon ho
grahan jo chand ko lag jae to phir chandni kyon ho
ada-e-husn-e-dil-kash ko zara samjhe to ye duniya
tawajjoh is mein pinhan hai ye un ki be-ruKHi kyon ho
ise kuchh aur hi kahiye ki dil dukhta hai ye sun kar
jab is mein maut shamil hai to phir ye zindagi kyon ho
agar miliye kisi se aap to dil khol kar miliye
KHulus-e-dil hi jab na ho to phir mil kar KHushi kyon ho
KHushi ke waqt mein kyon KHas sadme yaad aate hain
ki honTon pe hansi ke sath aankhon mein nami kyon ho
agar lalach se jannat ke jahannum ki ye dahshat se
kiye jo umr bhar sajde bhi to ye bandagi kyon ho
jahan mein aur bhi ek ajnabi baDh jae to kya hai
na ho pae kisi se dosti to dushmani kyon ho
tamanna KHas dil ki un se is Dar se nahin kahte
ki aaghaz-e-mohabbat hi mein un se dushmani kyon ho
hamein pine ki hasrat hi nahin baqi hai ab 'sahil'
bujha di aansoon ne pyas to phir tishnagi kyon ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.