KHushi ka nam suna hai magar KHushi kya hai
ḳhushī kā naam sunā hai magar ḳhushī kyā hai
tire baġhair jo guzre vo zindagī kyā hai
mujhe bhī kuchh to samajh aa.e zindagī kyā hai
ḳhudā kare tū samajh le ki dostī kyā hai
jabīñ hai naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār par vaa.iz
ab is se baḌh ke batā aur bandagī kyā hai
ġham-o-ḳhushī to bas ehsās kī amānat haiñ
jahāñ meñ varna alam kyā hai aur ḳhushī kyā hai
maiñ aaj tak ise samjhā nahīñ huuñ ai 'dānish'
ki dushmanī kise kahte haiñ dushmanī kyā hai
KHushi ka nam suna hai magar KHushi kya hai
tere baghair jo guzre wo zindagi kya hai
mujhe bhi kuchh to samajh aae zindagi kya hai
KHuda kare tu samajh le ki dosti kya hai
jabin hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar par waiz
ab is se baDh ke bata aur bandagi kya hai
gham-o-KHushi to bas ehsas ki amanat hain
jahan mein warna alam kya hai aur KHushi kya hai
main aaj tak ise samjha nahin hun ai 'danish'
ki dushmani kise kahte hain dushmani kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.