KHushi ke mauqe par unki kami achchhi nahin lagti
ḳhushī ke mauqe par un kī kamī achchhī nahīñ lagtī
azīzoñ ke binā koī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī
adāvat dushmanī nafrat hasad insāñ kī fitrat hai
magar shiddat kisī bhī baat kī achchhī nahīñ lagtī
kisī ke vāste jab bad-gumānī dil meñ aa jaa.e
to achchhī baat bhī us kī kabhī achchhī nahīñ lagtī
salīmuttaba fitrat dī hai qudrat ne jinheñ un ko
kisī bebas kī āñkhoñ meñ namī achchhī nahīñ lagtī
ye kaisā daur-e-be-kaifī hai 'shārid' zindagānī kā
ki tyauhāroñ pe bhī ab raushnī achchhī nahīñ lagtī
KHushi ke mauqe par un ki kami achchhi nahin lagti
azizon ke bina koi KHushi achchhi nahin lagti
adawat dushmani nafrat hasad insan ki fitrat hai
magar shiddat kisi bhi baat ki achchhi nahin lagti
kisi ke waste jab bad-gumani dil mein aa jae
to achchhi baat bhi us ki kabhi achchhi nahin lagti
salimuttaba fitrat di hai qudrat ne jinhen un ko
kisi bebas ki aankhon mein nami achchhi nahin lagti
ye kaisa daur-e-be-kaifi hai 'shaarid' zindagani ka
ki tyauhaaron pe bhi ab raushni achchhi nahin lagti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.